Samay - Hindi Shayari
Jana kahi, ja rahe kahi, thokkar kha rahe kahi aur ham,
Tha ek daur, jb manzil se behtar the raaste aur khushnuma rehte ham,
Ab na manzil, na raste ka rehta ata-pata, kahi fase hue bichme ham.
Kya hua aisa jo yu badal gaya sab aur bikhar gaye ham,
Manzar wahi, manzil wahi, rasta wahi, aur wahi they ham,
Nahi dil-chaspi unhe is wafadari me,"Sunny",
Chahat unhe ese insaan ki jiska ho "Samay" balwan, jo filhaal, nahi hai ham.
-Post by Sunny Bijani
Kuch baatein Dil mein reh jane de,
Bacha le, Ashko mein ise na behne de,
Na Bayan kar, Na ese zaaya na kar,
Dil mein aag bhar, un baaton ko yaad kar...
-Post by Sunny Bijani
Kho gaya hu is bheed me kahin,
Iraade kuch ,takdir kuch, inmein uljha hua main kahin,
Aish-o-aaram paane ki is jaddh-o-jahad mein,
Sukun chhod aaya piche main kahin...
Aa sab chhod kar dur kahin chale,
Bade naam ka moh chhod Sunny,
Aa khud ki asli pehchaan paane ko chale,
Sapno ki udaan Puri karne ko chale kahin...
-Post by Sunny Bijani
Tonight, I do not,
Intend to go into the same phase again,
Where all of my emotions gets mixed up,
Mess with my brain leaving me crying again...
Tonight, I do not,
Want to feel same loneliness as I feel everynight,
A Part of me knows, You not a part of my life,
I now actually have to be strong as I keep telling myself after that cry everynight...
-Post by Sunny Bijani
मेरे तौर-तरीकों से मुझे ना आंको l
जिसका ज़िक्र सब से कम है उसी से सबसे ज़्यादा मुहब्बत की है l
-Post by Sunny Bijani
Ab farq nahi padta kis dharm ya jati ke ham hai
Azaadi ke itne saalo baad ab Hamein garibi se mile azadi yahi bohot hai..
Kisi insaan ki rateein ab bhukhe pet na beete yahi bohot hai..
Main nahi kehta garibo ko azim paiso se nawazo Daan, balki khud ki kamayi ho,
Logo rakhne pet ki aag bujhe aur antaral को asli aag jale yahi bohot hai..
Ab farq nahi padta
Ab farq nahi padta, koi kis dharm ya jaati ka hai,
Koi Chahe kisiko bhi puje, shaam ko mil baat kar sab sath main khaye sab yahi bohot hai,
Dharmvaad Jaativaad shabd matra hi reh jaay, inke hone na hone se koi man-bhed na ho kahi yahi bohot hai,
Mera dharm, meri jati ke jhande nikal kar Sirf mere Mulk ka jhanda lehraye yahi bohot hai,
Mai nahi kehta in netao ki mat suno, pr jab bhi dharm ke bhedbhav ki baatein karein,
In ke behkave me mat aao, calendar dekho, shayad chunaav aa rahe hai, yeh samj jao tab bhi bohot hai..
-Post by Sunny Bijani
Yeh din bhi un-dino me se ek hi hai..
Jb Likhna he muje dil khol ke,
Pr is dil ki razamandi nahi hai,
Aarzoo he, Likhna he pr Alfaz nahi hai..
-Post by Sunny Bijani
Kyu he itni khafa jo dp teri gayab hai,
Password me tera naam rakhte na jane kya hua,
Whatsapp mera teri dp ko mera password samj betha hai,
Mere whatsapp ko uska password dila do Sirf baki Har Saja-e-jurm, bin jane hi manjur hai!!!
-Post by Sunny Bijani
खेल खेलते रहे यार दोसत व रिश्तेदार हमारे हम से ही,
ना लगी भनक कभी या किया नजर अंदाज़ यूही,
ख़ैर, शुक्रिया उन अपनो मे छिपे गैरों का तूजे समझदार जो बना दिया,
मतलबी व फरैबी हे अपना ना कोई बड़ी जल्दी सिखा दिया।।।
-Post by Sunny Bijani

No comments:
Post a Comment